Sunday, May 26, 2013

Main Kya Sochta Hun

Kuch door mere sath sath tum ate,
            to jaan jate ki main kya sochta hun,
Thoda bharosa mera gar kia hota,
           to jaan jate main kya sochta hun,

Sath  reh kar jo kushi na le paya,
           Wo sukun akele mein kun dhundta hun,
Alag rehne main kya khusi milti hai,
           Har baat kehne mian kun darta hun ,
Kash mere dar ko tum samjh pate,
           fir, kuch door tum sath sath ate ,
to jaan jate ki main kya sochta hun....

Sab main ho kar bhi akela,
           Lekin chalta jaye ye jindgi ka mela,
Iski moj mian kya khun kya paun,
           Jo bacha hai sab samet kar le jaun,
Ek aks(shadow) ka sath chutata nahin zindgi bhar,
           Lekin andhere main wo bhi na jane kidhar,
Kash in andheron main tum mujhe dhundh pate
           fir, kuch door tum sath sath ate ,
to jaan jate ki main kya sochta hun....

Lage hain sabke chehron par chehre
           Batoon main mithas, hothon par muskan
Aur, kehte hain hum sath hain tere
           Ye sath unka kisi aur ki wajah se hai
Hothon par muskan, batoon main mithas kisi aur ki wajah se hai
           Us wajah ko agar tum jaan jate
Fir kuch dur tum sath sath ate,
           To jaan jate main kya sochta hun.......

2 comments: